Read Famous Ghazal Of Wajid Shaikh,”Tere pass jab koi gair aakar beth gaya”

Wajid shaikh (Born 20 August) is a young acclaimed Urdu poet from indore india His poems reflect a profound sense of grief and heartbreak, and each line will leave you yearning for more.He got tittle Poet of love,philosophy and darkness

Tere pass jab koi gair aakar beth gaya,ji hi ji mein mein dil dabaakar beth gaya
Tera chup rehna mere zehan mein kya beth gaya Itni awaaze di ke galaa beth gaya

Tere pass jab koi gair aakar beth gaya
Mein ji hi ji mein dil dabakar beth gaya

Yunh toh roya kam hu mein zindagi mein lekin
Mein roya bahut jab koi gair jaakar beth gaya

Mene zhakam khaaye hai jis ghar ke khaatir
Raah chalata usme aagh lagakar beth gaya

Mere saath mera chaand bhi dooba hai phir
Mera dil kahi veeraanio mein jaakar Beth gaya

Hum ne bhi sataaya bhut ko teri khaatir lekin
Phir tu kisi ke saath humey staaakar beth gaya

Jo tarastha tha kabhi mere saath zindagi jeene ko
Apne haatho woh kisi ki mehndi lagakar beth gaya

Us maa se phuch kya bithi hogi uske dil par
Jab uske bete ka, koi janaaza sajakar beth gaya

Yeh meri milkiyat hai wajid jo naseeb hui hai
Mein seene se yeh gham sabhi lagakar beth gaya

-Wajid shaikh (@iwajidshaikh,@wajidsays)

orignal post is available on Instagram

 

Wajid shaikh poetry,Frame work art
Tere pass jab koi gair aakar baith gaya Mein ji hi ji mein dil dabaakar baith gaya

 

Leave a comment