The Poet Wajid Shaih Share his certain Feelings,Read full Article And Ghazal

Surat ghazal
Surat ek yaad thi,naam kisi ka yaad tha,This Ghazal is penned by Wajid shaikh

Mujhse likha nahi jaata ab,mujhe nhi pata saayad mera ab ishq guzar gaya hai,yaa mein woh insaan nahi raha jo likhta tha,lafz talaashthaa hu likh nhi paata,haar kar beth jaata hu,
Deewan-e-Ghalib baaju mein rakhi rehti thi
Usey uthaakar
Khuch warke badalta hu
Aur ek Ghazal padhkar rota hu
Khuch aashu gir jaate hai
Khuch chehre par reh jaate hai
Woh ek hi ghazal hai jiska har ek aashar
Rulaa jaata hai
Hazaaro khwaishe eshi ke har khwaish par
Dum nikle
Bahoot nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle

Na mere pass kehne ko khuch aur rehta hai
Na sunne ko khuch aur,Dil krta hai ab kab tak
Yeh dard khud mein rakha jaaye,Aaj nahi toh kal wajid isey nikal na hai,
Tabhi bs ek sher yaad aata hai
Ke shmma har rang mein jalti hai sahar hote tak

Is gham ka waakai koi ilaaz nahi
Marne tak har haal mein jeena hota hai

Khuch log haal chupa lete hai,khuch andr hi andar
Guth ke marne lagte hai,
Toh khuch woh jo yhi ghutan likha karte hai
Aur waah-waah sunaa karte hai
Mein unhi logo mein ek niklaaa

Woh sb pal yaad aate hai,(mohbhat ke nhi)
Zindagi ke jo gawaa diye gaye,na jaane kitni shaame
Suraj doobte huye gyi,Jaha aankho mein har ek dost
Se bhichadne ki daastan mujhme rehti thi
Sochta tha kya mein hi woh hu?
Jisey sb yaad reh gaya?? Ya woh bhi yaad krte hai?
Isi soch mein kitni shaame bith jaati thi
Andhere chaaro aur fehal jaate teh
Yaado ke saayo ki awaaze aati thi
Koi tha jo doobne ke baad bhi zinda reh gya mujhme
Saayad woh mein tha,jo insbke bhich be-maut maara gya
Bs khuch nhi milta ab mujhe,khud ke siwaa
Aur khuch dhundle chere yaad hai,khuch hasi
Khuch mazaak,aur khuch waade,sochta hu
Zindagi ke aakhri dum tak yeh yaad rahegi mujhe
Aur phir dum aakhir hoga
Khuch naye padhne waale aaege mujhe pdhege
Kahege kon tha wajid?? Iski shayaria kya thi
Lekin koi esha shaks jaroor hoga jo samj kar
Inhe seene se laga rakhega,jese mene
Ghalib ki ghazale laga rakhi hai
Beshaq jab tak zindagi hai kab tak tak hai koi nhi jaanta
Par aakhir mein yahi khunga
“Aah ko chaaiye ek umar asar hote tak
Kon jeeta hai teri zulf ke sar hote tak

Filhaal mein ghalib nhi
Lekin yeh ghazal jo aaj ki hai isey padhiye aur mein kahunga nhi aaj,bs sunuga sab

Surat ek yaad thi
Surat ek yaad thi Full Ghazal,More updates on Instagram, @iwajidshaikh

Surat ek yaad thi naam kisi ka yaad tha
Mujhme kon tha jo tere liye aabaad tha

Jaan nisaari waswase hai sirf baato ke
Mein bhul gya ,tujhe bhi kaha yaad tha

Bandagi hai jurrat-e-pursitam ke awaal
Yaani koi sitam tera,bazm ko shaad tha

Tere khaatir li dushmani sar par humne
Tu yeh bhi bhool gaya? Accha yaad tha

Ghar se be-Ghar jab hum huye dost
Tera ghar mere Baad bhi, bada Aabad tha

Teer jo chale mere zabaan ki kamaan se
Tere jigar par dekha mene ek Ghaav tha

Bhari Bazam jab mene Ghazal pesh ki
Tera yaar kaha,yeh mere yaar ko yaad tha

Mere baad yaad kariyega roiyega dost
Wajid kon tha?kis liye mujhe yaad tha

-Wajid Shaikh @iwajidshaikh

#wajidshaikhpoetries #wajidsays

Podcast and playlist of wajid shaikh poetries ,(Her name is moon) Soundcloud