Massive dust storm hits Delhi-NCR; accompanying rains bring relief from summer heat

A massive dust storm was whipped up in the Delhi-NCR region on late Sunday morning as strong winds frequented the skies in the national capital. Bringing some relief to the citizens from the intense heat, rains soon followed, accompanied by moderate thunderstorms.

The change in weather and the dust storm was witnessed in areas from Noida to Rajouri Garden in West Delhi.

Read here

The change in weather and the dust storm was witnessed in areas from Noida to Rajouri Garden in West Delhi

“Ab toh is saal hone ko ab kya raha hai,Aasmaan bhi sar pe kisi roz gir jaaega”Wajid Shaikh

Poetry on delhi criss
Words by wajid shaikh,

The Poet Wajid Shaih Share his certain Feelings,Read full Article And Ghazal

Surat ghazal
Surat ek yaad thi,naam kisi ka yaad tha,This Ghazal is penned by Wajid shaikh

Mujhse likha nahi jaata ab,mujhe nhi pata saayad mera ab ishq guzar gaya hai,yaa mein woh insaan nahi raha jo likhta tha,lafz talaashthaa hu likh nhi paata,haar kar beth jaata hu,
Deewan-e-Ghalib baaju mein rakhi rehti thi
Usey uthaakar
Khuch warke badalta hu
Aur ek Ghazal padhkar rota hu
Khuch aashu gir jaate hai
Khuch chehre par reh jaate hai
Woh ek hi ghazal hai jiska har ek aashar
Rulaa jaata hai
Hazaaro khwaishe eshi ke har khwaish par
Dum nikle
Bahoot nikle mere armaan lekin phir bhi kam nikle

Na mere pass kehne ko khuch aur rehta hai
Na sunne ko khuch aur,Dil krta hai ab kab tak
Yeh dard khud mein rakha jaaye,Aaj nahi toh kal wajid isey nikal na hai,
Tabhi bs ek sher yaad aata hai
Ke shmma har rang mein jalti hai sahar hote tak

Is gham ka waakai koi ilaaz nahi
Marne tak har haal mein jeena hota hai

Khuch log haal chupa lete hai,khuch andr hi andar
Guth ke marne lagte hai,
Toh khuch woh jo yhi ghutan likha karte hai
Aur waah-waah sunaa karte hai
Mein unhi logo mein ek niklaaa

Woh sb pal yaad aate hai,(mohbhat ke nhi)
Zindagi ke jo gawaa diye gaye,na jaane kitni shaame
Suraj doobte huye gyi,Jaha aankho mein har ek dost
Se bhichadne ki daastan mujhme rehti thi
Sochta tha kya mein hi woh hu?
Jisey sb yaad reh gaya?? Ya woh bhi yaad krte hai?
Isi soch mein kitni shaame bith jaati thi
Andhere chaaro aur fehal jaate teh
Yaado ke saayo ki awaaze aati thi
Koi tha jo doobne ke baad bhi zinda reh gya mujhme
Saayad woh mein tha,jo insbke bhich be-maut maara gya
Bs khuch nhi milta ab mujhe,khud ke siwaa
Aur khuch dhundle chere yaad hai,khuch hasi
Khuch mazaak,aur khuch waade,sochta hu
Zindagi ke aakhri dum tak yeh yaad rahegi mujhe
Aur phir dum aakhir hoga
Khuch naye padhne waale aaege mujhe pdhege
Kahege kon tha wajid?? Iski shayaria kya thi
Lekin koi esha shaks jaroor hoga jo samj kar
Inhe seene se laga rakhega,jese mene
Ghalib ki ghazale laga rakhi hai
Beshaq jab tak zindagi hai kab tak tak hai koi nhi jaanta
Par aakhir mein yahi khunga
“Aah ko chaaiye ek umar asar hote tak
Kon jeeta hai teri zulf ke sar hote tak

Filhaal mein ghalib nhi
Lekin yeh ghazal jo aaj ki hai isey padhiye aur mein kahunga nhi aaj,bs sunuga sab

Surat ek yaad thi
Surat ek yaad thi Full Ghazal,More updates on Instagram, @iwajidshaikh

Surat ek yaad thi naam kisi ka yaad tha
Mujhme kon tha jo tere liye aabaad tha

Jaan nisaari waswase hai sirf baato ke
Mein bhul gya ,tujhe bhi kaha yaad tha

Bandagi hai jurrat-e-pursitam ke awaal
Yaani koi sitam tera,bazm ko shaad tha

Tere khaatir li dushmani sar par humne
Tu yeh bhi bhool gaya? Accha yaad tha

Ghar se be-Ghar jab hum huye dost
Tera ghar mere Baad bhi, bada Aabad tha

Teer jo chale mere zabaan ki kamaan se
Tere jigar par dekha mene ek Ghaav tha

Bhari Bazam jab mene Ghazal pesh ki
Tera yaar kaha,yeh mere yaar ko yaad tha

Mere baad yaad kariyega roiyega dost
Wajid kon tha?kis liye mujhe yaad tha

-Wajid Shaikh @iwajidshaikh

#wajidshaikhpoetries #wajidsays

Teri Nigaah Jispar Bhi Padey Tera Mureed Ho Gaya

Read famous ghazal of wajid shaikh,Teri nigaah jispar bhi padey tera mureed ho gaya,Wajid is an acclaimed young poet of Indore,India

Teri Nigaah Jispar Bhi Padey Tera Mureed Ho Gaya
This poetry is penned By Wajid shaikh,Teri Nigaah jispar bhi padey ( Wajid shaikh born 20 August, is an Acclaimed poet of Indore,India

Teri Nigaah Jispar Bhi Padey Tera Mureed Ho Gaya

Mein Khud Ka ho jaata par ishq mein fareed ho gaya

Tere haath hai woh ya koi shaaqi maykhaane ka

Zaahid bhi gaya gar kabhi,Kaafir majeed ho gaya

Tapke jo tere badan se barsaat ka paani bhi jo agar

Zameen par ek saagar-e-sireen takseem shadeed ho gaya

Lage jo kabhi kaajal bhi teri aankho mein shaam ke pahar

Teri gali ka har ek ladka tujhe dekh,shaeed ho gaya

Teri Zulf-e-siyaa haaye koi sawaaan ki bharkaa ke maanind

Padi mere chehre par mein khoya shameem ho gaya

Tera Shayar likhta raha teri yaad mein qaseede hardum

Kabhi zair hua wajid,kabhi zabar,toh kabhi meem ho gaya

-Wajid Shaikh @iwajidshaikh

Teri nigaah jispar bhi padey ,wajid shaikh's uncomposed ghazal
Teri nigaah jispar bhi padey tera mureed ho gaya ,Wajid shaikh’s uncomposed ghazal

Podcast and playlist of wajid shaikh poetries ,(Her name is moon) Soundcloud

 

Hoti rahegi mulaaktein tumse nigaaho se durr ho dil se nahi by wajid shaikh

Wajid shaikh, the man behind famous poetry “Hoti rahegi mulaaktein tumse,the most famous poetry on social media circulating now days,with The name of gulzaar and other acclaimed poets

Hoti rahegi mulaaktein tumse
Hoti rahegi mulaaktein tumse nazar se durr ho dil se nahi,this poetry is officially penned by wajid shaikh

 

Labho par jo hai be-dil se nahi Badh’dua di bhi toh dil se nahi Rahe khuch bhi toh khuch kaha Khuch raha bhi toh,khud se nahi Hoti rahegi mulaakate tumse wajid Nazar se door ho;dil se nahi -Wajid Shaikh @wajidsays #wajidshaikhpoetries . . . . . . . . #poets #poetry #urdupoetry #urduwords #book #art #sayings #author #microtales #littleletterslinked #wajidsays

Wajid Shaikh poetries shared a post on Instagram: “Labho par jo hai be-dil se nahi Badh’dua di bhi toh dil se nahi Rahe khuch bhi toh khuch kaha…” * Follow their account to see 935 posts.

 

In now days Wajid shaikh is getting famous for his soulful writings,this talented young poet is from indore,the actual poetry hoti rahegi mulaaktein is penned or written by wajid shaikh, this poetry is circulating on social media witth other acclaimed poets,like,Gulzaar,Ghalib but actually this poetry is penned by wajid shaikh,for his beloved one,unfortunately she is not with him,this poet penned thousands poetries and ghazals,and express his feelings towards his audience,he hav 80k+ fans on insta,1 million on pinterest,

Language/ hindi

Wajid shaikh share his actual reason behind this poetry is conversation with her

Source:- Instagram

Phir tum Dheere-dheere kisi faisle ke chalte mujhse durr jaane lagi,sochti rahi ke khuch esha karu ke wajid ko mujhse nafrat ho jaaye,woh zindagi mein aage badh jaaye is ristey ke chalte wajid khud ko barbaad na kare,lekin woh kaha jaante teh,yaha khaamoshiya bhi unki humey sunaai deti thi

Bithe 2 haftey acche se baat bhi nahi hui,bs haal-chaal khair khabar phuchna,aur unka meri awaaz sunte sunte ro jaana,mujhse nahj raha gya unka yeh haal dekh ke

Aakhir 3 haftey baad baate hui
Aawaz thi ki dabi,dabi jese bahoot roye ho

She:- Wajid !! Mujhse nahi rahaa jaata eshe

Me:- aur mera kya haal hai socha bhi aapne?

She:- samjti hu jaanti hu,isliye laut aati hu,
lekin ek din esha aaega,jis din mujhe tumhe ya apni family ko choose krna hoga
Me:- kabhi mere liye apne ghar waalo ke khilaaf na jaana,woh jo kare woh karna,unhe na-khush karke khaa jaaege hum
She:- tum smjte ho,sab,lekin ek din mein durr ho jaaungi,Tum bhi zindagi mein aage badh jaana,aur khuda ke waaste mujhe maaf krdena

Me:- tumhe lagta hai tumse naaraaz bhi hu?

She:- kabhi nahi

Me:- Suno,

She:-Tum kaho bs aaj sunugi tumhe

Me:- Hoti rahegi mulaakate tumse,nigaaho se durr ho dil se nahi

She:- Yeh baat dil mein humesha kaid rahegi ,aur yeh chaand se tumhara ishq
Phir uske baad se baat nhi hui,dekhte hi dekhte durr hote gaye,
Aur aaj ek aur din guzar gaya, tumhare intezaar mein,Aur aaj yeh chaand aasmaan par roshan dekha toh yaad aur taaja ho gyi,us din ki bs tum jaha raho,salaamat raho

20- soul touching lyrics and poetries by wajid shaikh, from indore

 

PicsArt_04-06-02.37.59
Bekhyaali mein kisi ka mujhe khyaal nahi ek tu hai ek mein hu aur darmiyaan pyaar nahi
Best of wajid shaikh poetries one of the best acclaimed and talented poet from indore
Best of wajid shaikh
1584979801239
Hoti rahegi mulaaktein tumse by wajid shaikh
1584979865783
Tumpar koi rokh nahi koi tokh nahi
1584979946581
Tere aachal mein jo kisi ki shaamein hui
1584980001642
Waqt khraab tha isme sawaal kesa
1585030456838
Mere saath hai meri ,love aajkal shayari
1584980259289
Hai saaye kadmo mein raaho mein pade wajid shaikh
1584980060224
Aaazmaisho par aazmissh hai sabar rakhkar bhi sabar nhi aata
1584980115483
Phoolo ki tarah phir khilege hum
1584980167856
Mujhme hi tu saayad ab kahi baki hai