Teri Nigaah Jispar Bhi Padey Tera Mureed Ho Gaya

Read famous ghazal of wajid shaikh,Teri nigaah jispar bhi padey tera mureed ho gaya,Wajid is an acclaimed young poet of Indore,India

Teri Nigaah Jispar Bhi Padey Tera Mureed Ho Gaya
This poetry is penned By Wajid shaikh,Teri Nigaah jispar bhi padey ( Wajid shaikh born 20 August, is an Acclaimed poet of Indore,India

Teri Nigaah Jispar Bhi Padey Tera Mureed Ho Gaya

Mein Khud Ka ho jaata par ishq mein fareed ho gaya

Tere haath hai woh ya koi shaaqi maykhaane ka

Zaahid bhi gaya gar kabhi,Kaafir majeed ho gaya

Tapke jo tere badan se barsaat ka paani bhi jo agar

Zameen par ek saagar-e-sireen takseem shadeed ho gaya

Lage jo kabhi kaajal bhi teri aankho mein shaam ke pahar

Teri gali ka har ek ladka tujhe dekh,shaeed ho gaya

Teri Zulf-e-siyaa haaye koi sawaaan ki bharkaa ke maanind

Padi mere chehre par mein khoya shameem ho gaya

Tera Shayar likhta raha teri yaad mein qaseede hardum

Kabhi zair hua wajid,kabhi zabar,toh kabhi meem ho gaya

-Wajid Shaikh @iwajidshaikh

Teri nigaah jispar bhi padey ,wajid shaikh's uncomposed ghazal
Teri nigaah jispar bhi padey tera mureed ho gaya ,Wajid shaikh’s uncomposed ghazal

Podcast and playlist of wajid shaikh poetries ,(Her name is moon) Soundcloud